User:Chaturganj/Prarthana

From Wikibooks, open books for an open world
Jump to navigation Jump to search

Prarthana - Prayers

This is mostly a personal project. The languages used might be Hindi or English. Please feel free to translate Hindi into English if you would like.

Vandana[edit | edit source]

He Vaasudeva, aap ko pranam hai.

He Bhagwan, mera man bahut hi ashaant hai. Mein nahin jaanto, aisa kyon.

Mujhe lagta hai ki ye din ke actions ke karan hai. Aur bhi cheezein hongi, lekin he prabhu, aap ko pranam hai.

Aap hi, he naath meri is ashant budhi ko shaant karein.

Aap hi, he naath, mere is man ko apne charnon mein sthaan de kar shaant kar dein he prabhu

Aap ko pranam hai. Aaap ko pranam hai.

Om Namah Bhagwate Vaasudevaye

Om Namah Bhagwate Vaasudevaye

Om Namah Bhagwate Vaasudevaye

He prabhu, aap ka sundar chehra. anokhi sundar bahein. Atyant sundar muskan, aap ki nirmal gardan, aap ki nabhi, jo ki ek kamal ke saman hai. Aap ki sundar aankhein. Aap ki sundar mala.

He Vaasudeva, aap ke komal, poorna sundarta ke swami, aap ke ye sundar charan.

He Vaasudeva. Ye aap ke bhakta ko atyant sukh dene wale hain.

Aap ki kripa se mera man ap se kabhi na hate he Bhagwan.

Mein Sada, bhakti poorna man se, aap ko yaad karta rahon.

Taki, he Hari, aap ki kripa se, mein sada apne man ko ap mein hi laga kar, anokhi shaanti ka anubhav karun.

Aap ki vandana kar ke jo shaanti milti hai, wo sansaar mein kisi bhi aur vastu se nahin mil sakti.

He Bhagwan, jo deen aap ki bhakti ke is sukh se anbhig hain, unke dukh se bada koi dukh nahin.

Aur he prabhu, jo log aap ki bhakti se milne waali shaanti ko janta hein, wo atyant sukh mein gote laga rahe hain.

He prabhu, mein sada aap ki bhakti karun.

Om Namah Bhagwate Vaasudevaye


Vandana[edit | edit source]

He Bhagwan, aap ka pranam hai.

He Vaasudeva, aap ki kripa se mein aap ki bhakti karun he iishwar.

Maine, he prabhu, pichle kuch dino mein thoda araam kiya beech beech mein. Bahut accha laga.

He Bhagwan, ye sara sansar, aap ke hi chalane se chal raha hai.

He Vaasudeva, aap ko pranam hai.

He Bhagwan, mera man beech beech mein uchale lene lagta hai. Mujhe samajh nahin aata ki kya karun.

He Vaasudeva, is kalyuga mein, itne parishram hain, aur itni info processing hai ki aadmi ka dimag baukhla gaya hai. Us par koi bhi shanti, yan naram bhavnayein insaan mein nahin bachi hain.

Har jagah paap hi paap ho raha hai. He Bhagwan, aise mein hum kya karein he prabhu.

Samaye ke pahiye se bandh kar ham bahe ja rahein hain.

Hume oi andaja nahin ki hum kahan ja rahein hain, aur na hi koi control hai.

He bhagwan, aap hi aise mein raksha karein.

Aap ki kripa se mein aap ki bhakti karun he naath.

Kisi ko kuch dikhaye bina, mein man mein aap ki hi bhakti karta rahun.

Yahi jeewan mein dharma hai. Aap ki ananta, nirantar, bhakti karna sukh hai he prabhu. Aur aap ki bhakti na karna har prakar ka dukh hai.

Yahi sukh ar dukh ki paribhasha hai. Aap ki bhakti karte huye aadmi ko sukh ki anihooti hoti hai, aur aap ko bhool jaane par aadmi dukh mein gte lagata hai.

He Bhagwan aap ko pranam hai. Mujhe apni sharan mein le lein he prabhu.

Mujhe apni sharan mein le lein.

He Nath, aaj apke roop, Shri Hanuman ji ko yaad kar ke mujhe atyant sukh mila.

Mera hridya khushi se bhar gaya he prabhu, Bhagwan Shri Hanuman ji ko yaad kar ke.

He Pprabhu, aap ki kripa se mein sada aap ki bhakti karun.

Ye jo dikh raha hai, ye jo sun raha hai, ye jo anya log baithe hain, ye jo situation hai, ye sab aap hi hain prabhu. Aap ke alawa is sansaar mein aur hai bhi kya.

He Bhagwan, isi satya ko jaan kar mein aap ki sada bhakti karun.

Isi satya ko jaan kar, mein aap ko sarvasva jaan kar, aap ki sharan lun, he prabhu.

Aap ko pranam hai. Aap ko punah punah pranam hai, he hari.

Aap ko pranam hai.

Aap ke sab roopon ko pranam hai.

Om Namah Bhagwate Vaasudevaye Om Namah Bhagwate Vaasudevaye Om Namah Bhagwate Vaasudevaye Om Namah Bhagwate Vaasudevaye Om Namah Bhagwate Vaasudevaye

Aap hi wo Bhrahma hain, jo in pavitra shabdon mein sthita hain.

Aap hi, he Naresh, humare swami, aur is sansaar mein ur bhi jo exist karta hai, uske maaliki hain.

Aap hi he bhagwan, har prani ke sarvottam laksha hain.

Aap hi he prabhu, wo mangalmay vichar hin jo aap ke liye yan aap ke bare mein hote hain.

Aap he prabhu wo atyanta sukhmayi shanti hain jo aap ko yaad karne se milti hai.

aap hi prabhu, mera swami hain. Aap hi mere maalik hain.

Aap hi prabhu, sab kuch jaanne wale, sab prakar se shaktiman, sab ke priye Shri Hari hain.

Aap ko pranam hai he bhagwan.

Is sansar mein aisa koi jeeva nahin, jo aap ko na yaad kar raha ho.

Is dukh ke mahasagar mein phas kar, kaun bhala aap ko yaad nahin kare ga.

Is dukh ke maha sagar mein sukh bhi milein to we bhi dukh ki kami ke karan hi sukh lag rahe hote hein.

Hey Bhagwan, vaastav mein to aap ko yaad karna hi sukh hai. Aur kuch Sukh nahin kaha ja sakta.

Isliye, aap ko yaad karna hi sukh hai. Aur He Bhagwan, wo sukh, jo aap ko yaad karne se milta hai, bhi aap hi hain.

He Parmeshwar, he Maheshwar, aap ko pranam hai. Aap ko sada pranam hai, he Hari.

Humari raksha karein he prabhu. Humari raksha karein.

Is dukh ke maha sagar se humari raksha karein.

Vandana[edit | edit source]

He Bhagwan, manushya ki buddhi din par din kamjor hoti ja rahi hai.

Aap ko pranam hai he Hari. Meri raksha kariye he naath.

Mein nahin jaanta ki jeewaan mein kya hone wala hai. Mein nahin janta ki mujh se sahi karma ho payengein yan nahin.

Lekin he prabhu, aap ki kripa se, mein jeewan ke har pal aap ki bhakti karta rahun.

He Bhagwan, mein jab jeewan mein peeche dekhta hoon, to mujhe dikhta hai ki aapne bar bar mujhe pyar diya hai.

Aap hi, he Prabhu, most directly hum sab ke pitah hain.

Aap hi ne, he Iishwar, hume janam diya hai. Aap hi ne hume pala posa hai.

Aap hi ne humari raksha ki hai, hum jaante bhi nahin kitni baar.

Aap hi sab kuch hain, he Iishwar.

Aadmi, jo dikh raha hai, use dekh kar chinta karne lagta hai.

Lekin, he Bhagwan, jo is sansaar mein satya hai, wo to aap hi Hain.

Aap hi to is Sansaar mein har jagah hain.

Aap hi to sab ke mano mein baithe hain.

Aap hi to sab kuch chalaye huye hain.

Aap ki agya ke bina to kch ho hi nahin sakta.

Isliye, he Iishwar, hmara chinta karna moorakhta hai.

Manushya ko to chahiye ki har samay aap ki hi bhakti karta rahe.

Har samay, aap hi ke bare mein soche. Aap hi ko pranam kare.

Aap hi ka gun-gaan kare main mein. Aap hi ko nihare.

Aap hi ko yaad kare. Aap hi ko dekhe.

Aap hi ki sharan le.

He Bhagwan, aap ki kripa se mein ye sab karma karun.

Aap hi meri raksha karein, he naath.

He Bhagwan, manushya ko din mein 2-4 baar nahin, 2-4 lakh bar aap ko yaad karna chahiye.

Sansa lena itna jaroori nahin jitna aap ko yaad karna hai.

He Bhagwan, is ghor kalyuga mein, jo ki aap hi ka roop hai, manushya ka dimag pagal ho raha hai.

Is ghar kalyuga mein, dimag vichlit ho raha hai.

He Vaasudeva, aap to sab jagah hain. Mere man mein bhi.

Aap ko he Naath, mein punah punah yaad karun.

Aap ko he Naath, mein punah punah chintan kar, pranam karun, aap ki sharan loon, aap ki puja karun, aap ko hi niharun, he Bhagwan.

He Vaasudeva, aap ko pranam hai.

He Bhagwan, aap hi ko yaad karna sukh kaha jata hai, aur aap hi ko bhool jana dukh hai.

Wo, dukhmayi pal, jab admi aap ko bhool jaye, he Bhagwan, aisa bhayanak pal kisi par na aye.

Aise pal mein, na to aadmi ji sakta hai, aur na hi marte bhi banta hai.

Aise pal mein jeewan to mrityu se bhi bura hai. Aur aise pal mein mrityu hone se bura kya hoga.

He Vaasudev, dhanya the wo log, jinhon ne, aap ko har pal yaad kiya. Aap ki nirantar, ananya bhakti ki.

Dhanya hain wo log, jo aap hi mein base hain he Prabhu.

Mein aap ki sharan leta hoon Naath. Raksha Karein.

Om Namah Bhagwate Vaasudevaye Om Namah Bhagwate Vaasudevaye

Harinya Garbha Purush Pradhan Avyakta Roopine Om Namah Vaasudevaye Shudh Gyan Svaroopine

Om Namah Bhagwate Vaasudevaye

He Bhagwan aap ko pranam hai. Aap ke sab roopon ko pranam hai. Aap ko punah punah pranam hai.

Vandana[edit | edit source]

He Parmatma, aap ko pranam hai.

Vande Tamham Piteti Tva Namahaste Tvam Namahse Namah Namah Parmatmane Vishvatmane Parmesh Sarvesh Tva Bhutesh Hridyesh Sarve Sthita Hridesha Tva Parmartha Bhaktim Tvayi Parmartha Tva Pada Vandaneti Pranipatya Prabho Tvam Namahaste Namaste Tvam

kshamya Karoti Vaasudevaye moodho asi me Tyam Kripaye Vandetvam shakyo karoti me

He Bhagwan mujhe maaf kar dein, mere pap mein bhudhi ke karan jo apradh hote hain.

He Naath, aap to mere man mein hain. Aap hi he Nath, in sabhi logon ke hridyon mein sthita hain.

Aap hi he Nath, wo hain jo hume dikh rahe hain. Aap hi Nath hume sun rahe hain. Aap hi Nath sabhi jagah hain.

Aap hi Bhagwan, he Ananta, Srishti ke Maalik hain. Aap hi he Bhagwan, harame Swami hain.

Aap ko pranam hai, he Bhagwan.

Aap ke Charno ko pranam hai, punah punah.

Aap ko pranam hai, he Bhagwan.

He Vaasudeva ji, mein aap i bhakti karun, he Naath.

Jeewan mein saansa to mein baad mein loon, pahle aap ko yaad karun, he prabhu.

Aap hi to hain, he Bhagwan. Aap se atirikta hai bhi kya.

Ye maanav, ye hava, ye jo dikh raha hai, ye sansaar, aur sansaar ki sabhi paristhitiyan, sansaar mein prastut jo bhi hai, humara man, budhi, aankhein, shareer, hridya aap hi to hain he Bhagwan.

Aap hi to he prabhu Har jagah hain. Kahan yahan buildings hi Hain. Kahan yahan Manushya hi hain. Kahan yahan hava hi hai. Kahan Prithvi hi hai - Bhagwan aap hi to hain.

He Vaasudeva, aap ki kripa se, aur aap ke roopon ki kripa se hi maanav aap ke roopon ka satya charitra sun pata hai.

Bhagwan mein gad gad ho gaya, krit krit ho gaya aap ki Kripa se, he Naath.

Aap ko Pranam hai. Aap ke hi roop, Shri Prahlad ji ko, Bhagwan Shri Dhroov Ji ko, Bhagwan Shri Bharat Ji ko, Shri Narad Bhagwan ko, Shri Priya Bhagwan Hanuman Ji ko, Shri Bali ji ko, Shri Vibhishan ji ko pranam hai.

Aap ko pranam hai he Bhagwan.

Mein aap ki bhakti karun, he Naath. Meri raksha karein he prabhu.

Aap ki kripa se mein aap ki Bhakti karun he Naath.

Aap ko pranam hai. Aap ko pranam hai.

Vandana[edit | edit source]

He Bhagwan, aap ko pranam hai.

He Nath, ye email aap ko arpit hai. Aap hi raksha karein, he Prabhu.

He Parmesh, ye jo mein kha raha hoon, bhi aap hi ka diya hai.

Aap hi karna walein hain he Iishwar. Aap hi sab kuch karte hain.

Aap hi s sab kuch hota hai.

He Bhagwan, is sansaar mein jitne bhi log hain, jitne bhi prani hain, sab aap hi hain.

Aap hi ko pranam hai, he bhagwan.

Ye Sansaar, sab aap hi ke dvara chal raha hai. Aap hi, he Nath, shakti hain.

Aap hi ne Naath, Sundarta hain. Aap hi Shabha hain, he Prabhu. Aap hi Sukh hain. Aap hi jyoti hain, he Prabhu.

Aap ko Pranam hai. He Bhagwan, aap ko pranam hai.

Aap hi ki kripa se mujh jaisa nalayak bhi aap ki bhakti kar sakta hai, he Parmatma. Aap ko pranam hai.

Aap ke roopon ko pranam hai, jinhone, apne presence se is snsaar ko kalyan mayi kar rakha hai.

Aap ko prnam hai he Bhagwan.

Aap hi sabhi ke mano mein hain. Aap hi Iishwar, humare maalik hain.

Aap hi Naresh hain. Ye sara sansaar aap ke rajya se hi chal raha hai.

Aap hi, he Bhagwan, is sansaar ki apar, parikrami shakti hain.

Aap ko pranam hai, he Bhagwan.

Sabhi prakar se aap hi hain.

Aap hi ki bhakti sukh kahi jati hai. Aur aap ki Bhakti na kar paana hi dukh hai.

Yahi skh aur dukh ki paribhashayein hain.

Aap mein, he Ananta, humara man laga rahe, aap ki kripa se, humsada ap ka chintan karte rahein, aap ki Bhakti karte rahein, jisse, he Naresh humara ye manavi janam saphal ho jayega.

Aap hi ki kripa se mein sada, sada aap ki bhakti karta rahun he Nath. Aap ki kripa se, mera man aap hi ko yaad kare.

Aap hi Raksha karein he Swami.

Aap hi Auron ke man mein baith kar, aap hi Sarvatra Virajman hote huye, aap hi he prabhu, is sansar ke paalak hain, aap hi is sansar ke swami hain - aap ki kripa se hi hum aur ye sansar aap ki bhakti karta rahe.

Aap ko pranam hai he Parmatma. He Prabhu, aap ko pranam hai.

He Bhagwan, Shri Prahlad Ji Maharaj ke, aur Shri Hanuman Ji ke, aap hi swami hain. Aap hi ke in roopon ki kripa se mein sada aap ki bhakti karun, sada aap ke in mahatma roopon ki bhkti karun.

Mujhhe maaf karein he Prabhu.

Aap ko pranam hai. Aap ko pranam hai.

Namaste Te, Namaste Te.

He Naath, aap ko pranam hai.

Om Namah Bhagwate Vaasudevaye Om Namah Bhagwate Vaasudevaye Om Namah Bhagwate Vaasudevaye

Harinya Garbha Purush Pradhan Avayakta Roopine Om Namah Vaasudevaye Sudh Gyan Svaroopine

Om Namah Bhagwate Vaasudevaye Om Namah Lakshmi Ma, Om Namah Vishnu, Om Namah Shivaye, Om Namah Parvati Ma, Om Namah Brahma, Om Nama Bhagwate Vaasudevaye

Om Namah Bhagwate Vaasudevaye

Vandana[edit | edit source]

Om Namah Bhagwate Vaasudevaye Om Namah Ganeshaye Om Namah Ganeshaye

Om Namah Bhagwate Vaasudevaye

Jai Shri Hanuman Jai Shri Narad Bhagwan Jai Sri Vishnu Bhagwan Om Namah Shivaye Om Namah Brahmane - Namah astu Te Om Namah Bhagwate Vaasudevaye

Om Namah Sapta Rishi Om Namah Sanandana Sanat Kumar Om Namah Bali Om Namah Vibhishan Om Namah Sugreev Om Namah Garg Om Namah Kaundinya Om Namah Vishnu Om Namah Bhagwate Vaasudevaye Om Namah Bhagwate Vaasudevaye

Om Namah Kapila Muneshwar Om Namah ParshuRam Ji Om Namah Bhagwate Vaasudevaye Om Namah Bhagwate Vaasudevaye Om Namah Prasharya Ji Om Namah Matrya Ji Om Namah Vyasa Ji Om Namah Dhruva Ji Om Namah Bharata Muni Bhagwan Om Namah Prahlad Ji Om Namah Shravan Bhakta Ji Om Namah Manu Ji Om Namah Indra Ji Om Namah Bhagwate Vaasudevaye

He Bhagwan, aap ke sab roopon ko pranam hai.

Aap hi, is sansaar ke Vidhata, Dhata, Swami, Rakshak, Maalik, Raja, Samraat, Karta, Adhishthata, Poojya, Pita, Parmeshwar, Iiishwar - Sab aap hi hain.

Mujh se hui bhoolon ko maaf kar dein, Hey Pitah.

Aap ko pranam hai.

Shri Hanuman Ji ko, Shri Ganesh Ji ko, Shri Narad Bhagwan ko, Mata Lakshmi Ji ko, Ma Parwati Ji ko, aur Aap ko - punah punah pranam hai, he Naath.

Om Namah Bhagwate Vaasudevaye Om Namah Bhagwate Vaasudevaye

Aap ko pranam hai He Bhagwan.

Aap ko pranam hai. Aap hi sada sab kuch hain. Aap hi sab kuch hain, He Nath.

Om Namah Bhagwate Vaasudevaye

Harinya Garbha Purush Pradhan Avyakta Roopine Om Namah Bhagwate Vaasudevaye Shudh Gyan Roopine

Om Namah Bhagwate Vaasudevaye Om Namah Bhagwate Vaasudevaye

Aap ko pranam hai He Hari ji. Aap ko pranam hai.

Aap ke Satya Roopon ko Pranam hai.

Vandana[edit | edit source]

He Bhagwan, aap ko pranam hai.

He Nath, aap ko pranam hai. He Bhagwan, mein bina shak ke aap ki bhakti karun he Nath. Aap hi ki sharan loon. Isi mein sukh hain. Aap hi Shakti hain.

Aap hi Nath Karta hain. Aap hi Karan hain. Aap hi Kiye Ja rahe hain aur aap hi, he Prabhu, sab prakar se sab or hain.

Aap ko pranam hai, He Hari. Mein Aap ki Punya Bhakti karun, He Nath.

Aap ko pranam hai.

Aap ko pranam hai.

He Bhagwan, Aap ke Siva aur kch bhi nahin hai.

Aap hi sab prakar se shaktimaan hain.

Aap hi sab prakar se Shaktiman hain, He Prabhu.

Aap ko pranam hai. Aap ko pranam hai.

Om Namah Bhagwate Vaasudevaye Om Namah Bhagwate Vaasudevaye Om Namah Bhagwate Vaasudevaye Om Namah Bhagwate Vaasudevaye Om Namah Bhagwate Vaasudevaye Om Namah Bhagwate Vaasudevaye Om Namah Bhagwate Vaasudevaye

Mere ashant huye man ko shaanti mile, He Bhagwan, Aap ke Charnon ki Aradhna kar kar. Aap ko Pranam hai Bhagwan.

Aap ko Pranam hai.

Aap ko Pranam hai.

Om Namah Bhagwate Vaasudevaye Om Namah Bhagwate Vaasudevaye

Vandana[edit | edit source]

He Bhagwan, aap ko pranam hai.

Is sansar mein aap ke tej se, roshan hua ye sansar, aap hi ki vandana karta hua, sundar prateet hota hai, He Bhagwan.

Aap ka bada upkaar hi, He Pitah.

Aap ki badi Kripa hai, He Nath.

Aap ko pranam hai. Aap ko Pranam hai.

He Bhagwan, aap ko pranam hai.

Om Namah Bhagwate Vaasudevaye Om Namah Bhagwate Vaasudevaye Jai Shri Hanumaan Ji Jai Shri Prahlad Ji Jai Shri Dhruv Ji Maharaj Jai Shri Bharat Muni Ji Jai Shri Narad Ji Jai Shri Hari

Jai Shri Hari

Om Namah Bhagwate Vaasudevaye Om Namah Bhagwate Vaasudevaye Om Namah Bhagwate Vaasudevaye Om Namah Bhagwate Vaasudevaye Om Namah Bhagwate Vaasudevaye

He Parmatma, Aap ko pranam hai.

Namaste te, Namah Astu te, Namaste Namaste Te Namah Aste te Namah Aste te Punah Punah

Om Namah Bhagwate Vaasudevaye Om Namah Bhagwate Vaasudevaye

He Iishwar, mein sada aap hi ki Bhakti karun he Nath.

Samta mein man ko rakh kar, udvegon ko tyaga kar, aap ki mein sada sharan loon he Nath.

Om Namah Bhagwate Vaasudevaye

Om Namah Bhagwate Vaasudevaye

ap ko pranam hai He Bhagwan. Aap ko pranam hai.

Vandana[edit | edit source]

Bhagwan, mera hridya bahut wichlit sa ho gaya hai. Mujhe maaf kar dein He Prabhu.

He Bhagwan, chahe jo bhi ho, mein sada aap ki, aur aap ke Satya Bhakton ki poornta se bhakti karta rahun he Naath.

BHagwan, Shri Hanuman Ji ki mein sada bhakti karta rahun. Aap hi Nath sabhi cheshtaon ke controller hain. Aap hi se sab kuch hota hai Bhagwan. Aap ki kripa se mein sada aapke priye Shri Hanuman Ji ki bhakti karun He Nath.

Kabhi sapne mein bhi mein unhe bhoolon nahin He Pitah. Mujh par ye kripa karein He Nath.

Is Kal Yuga mein manushya bahut hi budhi heen ho gaye hain Nath. Mera man bhi sada uchalta rahta hai, samta aur constancy ko prapt nahi hota.

He Bhagwan, aise mein to aap hi sahare hain. Aap ki kripa se hi mein aapki aur Shri Hanuman Ji ki, Shri Prahlad Ji ki, Shri Dhruv Ji ki ur aap ke roopon ki sada Bhakti karun, He Prabhu.

Mujhe maaf kar dijiye.

Aap hi Man mein Bathe sab ke swami hain. Aap hi Prabhu sab kuch karne wale hain. Aap hi to hain. Aap ke alawa to aur kuch hai hi nahin. Aur He Bhagwan, aap ki marji ke bina to ek hava ka jhonka bhi nahin aa sakta.

Vandana[edit | edit source]

He Prabhu, aap ke charnon ki sharan leta hua, mein aap ko hi apna sab kuch jaanta hoon.

He Bhagwan, pahle ek dum se shaadi ki taraf badhna.

Fir ek dum se wall st aane lagna mere mangaye bina.

Phir mera padhayi ki taraf uksar hona.

Phir ek dam mera yahan group badlna.

Aur ab nauri mein badlav aana.

He Bhagwan, itne badlav to aap ki hi Kripa se aa sakte hain.

Bhagwan, mein aap ki sharan leta hoon.

Aap hi meri raksha karein. Aap hi meri raksha karein.

Apni hi buddhi-heenta ke karan hum aap ke apar ananta prem se bhi darne lagte hain He Vasudeva.

Aap ko pranam hai. Aap ko shat shat pranam hai.

Bhagwan, mein aap ki kripa se aap ki aur apke satya roopon ki sada bhakti karta rahun.

Mere janam safal ho jayeinge aap ki bhakti kar ke, He Bhagwan.

Aap ko pranam hai, he Hari. Aap ke Charnon mein jo sukh hai wo duniya ke kisi kone mein nahin.

Aap ke Charnom mein jo alaukik sukh hai, wo aur kahin nahin.

Aap ko Pranam hai. Aap ko Pranam hai.

Bhagwan, mein sada aap hi ki Charan vandana karta rahun. Aap ko pranam hai, He Hari. Aap ko Pranam hai.

Jab aap hi sab kuch hain. Jab sab kuch aap hi se chalta hai. Jab sab kuch aap hi hain, He Bhagwan, to hume darne ki bhi koi jaroorat nahin hai.

Is sansar ko mein aap hi ki parchayi jaanta hua, aap ki bhakti karta rahun Nath.

Mujhe maaf kar dein. Bhagwan, aap ki bhakti na kar kar, kahin bhi aur samay bitaya hua to atyanta dukh hi hai.

Aap ki bhakti na karte hue jo samay bita hai, wo mrityu se bhi dukhdayi hai. Aisa dukh kisi ko na mile.

Aur He Bhagwan, aap ko yaad karte jo samay beetta hai, wo sacha sukh hi sukh hai. Baki to sab dukh hi hain, He Nath. Aisa amrit mayi sukh sab ko mile Bhagwan. Aap ko pranam hai.

He Prabhu, mera man samta mein nahin rahta itni baar. Mein aap ki sharan le, is sansaar ko aap hi ki ek maya jaan kar shaant ho jayun.

Aap hi ki prikrama to mein har jagah dekh raha hoon. Aap hi to har jagah virajmaan hain.

He Purushottam, aap ko pranam hai.

He Bhagwan, agar din din, pal pal aap ki bhakti ki jaye, to bhi kam hai He Nath.

Vaastav mein to manushya ko chahiye ki kewal ek hi satya yaad rakhe - ki aap hain. Aap hain. Aap hain. Aur Aap hi Sab kuch hain. Aap se badh kar kuch nahin. Aap ki shakti ke bahar kuch nahin. Aap ki sada, har samay bhakti karte rahna is sansaar ka param sukh hai. Aap ki sharan lekar, aap ko yaad karte huye koi bhi kashta nahin aata, kyonki Bhagwan, aap karuna svaroop, anmol, atyant karuna ke maha sagar hain.

Mujh jaise papiyon ko, jinka man bar bar bhatakta hai, bhi aap ki boundless pyar bhari kripa ke karan aap ko yaad karne ka mauka mil jaata hai.

Aap ko pranam hai, He Hari. Aap ko pranam hai.

Aap ne, is sansaar mein apna tej vidyaman kar kar, is sansaar ko krit krit kar rakha hai He Parmatman.

Aap hi to ye shabd hain jo mein likh raha hoon. Aap hi to likhne wale hain, aur aap hi in shadon ke meaning bhi hain.

Aap hi Parmatma, is Sansaar mein Vyakta Sarvatma Sarvashakti Maan, amar, punya Jyoti hain. Aap ko pranam hai, He Hari.

Meri moorakhtayein maaf kar dein He Prabhu. Aap ko pranam hai.

He Bhagwan, ye jo dikh raha hai, aap hi hain. Ye jo nahin dikh raha hai bhi aap hi Hain.

Ye jo sun raha hai, ye jo ho raha hai, jo ho sakta hai, jo karne wale hain, jo kiya ja raha hai, jo yajya hai, aur jo yajya ke phal hain - sab aap hi hain, He Parmatma.

Aap hi ko sarva jaan kar, mein aap ki bhakti karta hua, aap ko sada yaad karta hua, aap ki vandana karta hua, aap hi ko apna sab kuch jaanta hua, aap ko hi, He Bhagwan, sab karnon ke Karan, sab Karyon ke Karta, Sab ke Swami, Sarva Shaktimaan, Sarvesh, Sarvatma, Sarva Bhootesh, Sarva Vyapta jaanto hua, aap ke Charno ki vandana karta hua, mein shaant ho jaun ke Bhagwan.

Aap ki kripa se mein aap ki Bhakti kar paun, He Nath.

Aap Priye Hain. Aap Priye Hain He Nath.

Aap Priye Hain. Aap ki Sharan anmol hai.

Aap ke Charan, sukh ke sagar hain, jinme mein sada gote lagaun.

Aap ko pranam hai, He Hari.

Aap ko pranam hai.

Jab ye Sansaar, dukh mein jal raha hai. Jab ye Sansaar, aag ke maha kundal mein atyant, dukh mein jal raha hai, He Bhagan, aap ka naam, aap ke charan to sheetal vayu hain.

Aap ka Naam to sab kashton ko katne wala hai.

Bhagwan, aap hi is sansar mein har jaga Virajmaan hain.

Aadmi dekh nahin pata, par aap to kan kan mein baithe Swami hain.

Aadmi samajh nahin pata, par Bhagwan, aap ki shakti to Sampoorna sansaar mein har jagah Vidyamaan hai.

Aap ne mujhe krit krit kar diya Naath.

Aap ko Pranam Hai

Aradhana[edit | edit source]

He Bhagwan aap ko pranam hai. He Bhagwan, aap ki kripa se mein sada aap ko yaad karun. Is Kaliyg mein bhi humara man aap hi mein lage he iishwar. Mera man aur buddhi, is kaliyug mein bahut vyakul ho rahein hain. He Bhagwan, aap ki kripa se, ye dono hi sada aap mein lage rahein.

He Bhagwan, meri har saans aap hi ko yaad kare. Aur mera har sapna aap hi ke liye ho. Mein aap hi ko apna sab kuch jaanu he Nath. Aap hi mere sab kuch banein he prabhu.

Aap ko pranam hai, he Hari. Aap ko pranam hai he Bhagwan.

Dukh ke kaaran hi aadmi aap ko bhool jaata hai, he iishwar. Aap ki kripa se, mein atyant dukh mein bhi aap ko hi yaad karta rahun, he prabhu. Jis se ki mera dhyaan sada aap hi mein laga rahe.

He iishwar, mein jaanta hoon ki mein bhrasht hua kaliyug mein ghoom raha hoon. Har jagah atyachaar hi atyachaar dikhayi deta hai. Log apne manon se sab prakaar ki achai ko tayag kar dusht hote chale ja rahein hain din par din.

Har samay, har jagah log kewal paap hi mein samate ja rahein hain he prabhu. Aise mein mera man atyant vyakul ho gaya hai iishwar. Mera khud par bhi control nahin raha hai. Subah se raat tak mujhe kewal mithya hi dikhta hai, mithya hi sunta hai aur mere man mein bhi mithya vichaar hi janam lete rahte hain.

He Vaasudeva, aise mein to kewal ek aap hi rakshak hain. Aise mein to, he Naath, ek aap hi humare pita hain. Aap hi he Bhagwan sab kuch hain. He Naath, aap ko yaad karte huye humara samay bite. Aur aap ko yaad karte huye humare jeewan beetein he Bhagwan.

Taaki humara jeewan safal ho. He Naath, aap ki kripa se, aap ko yaad karte hue hume shaanti mile he bhagwan.

Aap ko pranam hai he Hari. Aap ko pranam hai he Naath.

Aap ko pranam hai. He Pitah, raksha karein. He Naath, raksha karein.

Saubhagya se hi ek aadmi aap ki puja karta hai aur durbhagya se hi aadmi aap ko bhool jaata hai he naath. Aap ko Pranaam hai.