Jump to content

Shikwa Jawab-e-Shikwa/Shikwa

From Wikibooks, open books for an open world

Shikwa (Complaint)

[edit | edit source]

Introduction

[edit | edit source]

Shikwa (Complaint) is the first part of Shikwa Jawab-e-Shikwa by Anjum Lucknowi (Muhammad Iqbal Khan). In this section, the poet gives voice to the grievances of humankind before God — a plea filled with longing, sorrow, and questions about divine justice and mercy.

Teri rehmat ko na kyun deedah par nam dhoondhe

Hai jise teri zarurat wohi paiham dhoondhe Phool ko gulshan-e-hasti mein bhi shabnam dhoondhe Khald-e-Adam ko kabhi khald ko Adam dhoondhe

Shikwa-e-‘abd bhi sun kar tera parda na utha Teri marzi to mujhe jalwa dikha ya na dikha

Talib-e-madh tha ab talib-e-shikwa mein hoon Jo hai darya ka talabgar woh qatra mein hoon Tu hai ma’bud mera aur tera banda mein hoon Malik-e-husn hai tu ishq ka jalwa mein hoon

Apne ‘ashiq ko mohabbat ki saza kis ne di Bar sar-dar-e-ana al-haq ki sada kis ne di

Musht bhar khaak se aur hasti-e-Adam ka wujood Maine maana yeh teri karigari hai ma’bud Aur farishte, pas Adam bhi hue sar-ba-sajood Hain usi nasal se kyun kar yeh musalman o hind

Kuch Nasiri hain, Nasara bhi hain Isaai bhi Jaz mere karte hain kya teri pazeerai bhi

Tere kalme ka bhi aelan kiya hai humne Kitni qaumon ko musalman kiya hai humne Qaryah qaryah tujhe zishan kiya hai humne Marhala sakht tha aasaan kiya hai humne

Hum agar haq par hain to arsh se aawaz to de Ya bulale humein aur quwwat-e-parwaaz to de

Naam masjid hai tera ghar jo bana rakha hai Farsh-e-‘ismat ko bhi sajdon se saja rakha hai Yaad maine bhi tujhe waqt-e-dua rakha hai Par duaon mein asar tu ne bhi kiya rakha hai

Jeene wale ko dua deta hoon mar jata hai Mere iman ka shiraza bikhar jata hai

Mein tere naam ki tasbeeh padha karta hoon Sajda-e-shukr ba-sad shauq ada karta hoon Mein behr-e-haal tujhe raazi raza karta hoon Bakhsh de meri khataein yeh dua karta hoon

Tu agar hai to amal ki mere taeed bhi kar Jari mere liye to chashma-e-tawheed bhi kar

Lamakan tu hai haram, asal tera ghar bhi nahi Woh kaisa masjid ya mandir bhi nahi Tere rehne ki jagah yeh dil muztar bhi nahi Noor jab tu hai tera phir koi humsar bhi nahi

Chaand samjhoon tujhe, sooraj ya sitara samjhoon Koi pehchan bata, kuch to ishara samjhoon

Haq tujhe maan liya khud-ra hai ‘abid ban kar Bandagi ki hai teri waqi‘ zaahed ban kar Da’watain baanti teray deen ka qaasid ban kar Jo mukhalif hua lada baithe mujahid ban kar

Har jagah parcham-e-tawheed ko gaara kis ne Bab-e-Khyber ko do ungli se ukhaara kis ne

Naam zinda rahe hai tera ke uthai uftaad Jab sunai to sunai tujhe apni rodaad Tegh-e-baatil se nahta lada ban kar foolaad Mud ke dekha na kabhi ghar ki taraf waqt-e-jihad

Fauj-e-a’da na rahi, jung ke manzar badle Meri thokar se hi pathar ke muqaddar badle

Maine kirdar-e-zamane ka palatte dekha Tera phaila hua Islam simatte dekha Tu ne kab jung mein peeche mujhe hat-te dekha Kat gaya mera gala, to ne bhi kat-te dekha

Aasman meri duaon se kahin door na tha Ran mein majboor tha, main to koi majboor na tha

Tera adni sa karishma hai sabhi shajar o hajar Tu ne paida kiye daryaaon mein bhi la’l o gaher Itni fursat bhi na di dekh-ta saare manzar Mujhko daurata raha haath mein parcham-e-digar

Tere Islam ki tabligh mere dam se hui Teri duniya ki shuruaat bhi Adam se hui

Lat o Uzza o Hubal ka tu bada lashkar tha Ghasbana jahan qabza tha, woh tera ghar tha Jab khudaai thi teri tab bhi khuda pathar tha Goya takhleeq butaan ke liye ek azar tha

Hum ne toofan-e-nahusat ki raush modhi hai Ya’ni pathar ke khudaon ki kamar todi hai

Tera mehboob na hota to tera kya hota Bandagi ka teri har mor pe sauda hota Tujhko sajda nahi to phir ghair ka sajda hota Kaisa lagta tujhe main kehta jo acha hota

Sun ke ye baat meri tujhe jalal aa jaata Tujhe mehboob ka us waqt khayal aa jaata

Faqah karte hain musalman shikam-e-seer Hind Shukr karte hain ada, phir bhi tera sar-ba-sajood Kyun nahi dekhta jab har jagah tu hai maujood Tujhko parwah nahi hai meri shayad ma’bud

Tu hai razzaaq, tu hi sabko ghiza deta hai Phir mujhe kis liye tu bhooka sula deta hai

Zehan qasir hai ke main kaise gunahgar hua Teri rehmat ka bahr-e-kaif talabgar hua Phir bhi tera na kisi mor pe deedaar hua Main to lazd hoon duniya mein, yeh bekaar hua

Tu hai ma’bud to bande se judaai kaisi Jo mere kaam na aaye woh khudaai kaisi

Kya sitam hai tera pehle mujhe jannat didi Maine maangi na thi khud apni khalafat didi Apni man maani jo chahi woh wasiyat didi Aur phir khald-e-badr ho, yeh ijaazat didi

Mujhko duniya mein bhatakne ke liye chhod diya Tu ne ek mitti ke insan ka dil tod diya

Jab mitana hi tha kyun mujhe banaya tu ne Kyun farishton se mera sajda karaya tu ne Kyun bulandi pe baitha kar yun giraya tu ne Kaisa ehsan tera jo ke jataya tu ne

Aye Khuda tu hi bata kya yeh teri marzi hai Ye jo marzi hai teri is mein bhi khud-gurzi hai

Teri dharti hai magar surat dehqaan hum hain Ek ek daana-e-gandum ke nigahbaan hum hain Zeenat-e-ghuncha-e-gul bhi hain gulistaan hum hain Teri duniya ki sajawat ke bhi samaan hum hain

Imtihan phir bhi humein se tera mansha kya hai Teri rehmat ne gahngaar ko samjha kya hai

Hum se pehle tere ‘alam ke ajab ‘alam the Musht bhar khaak na thi aur na koi Adam the Jab hui karigari teri wahan par hum the Kya ibadat ke liye teri malaa’ik kam the

Hum ko be-wajah banaya, koi ehsaan nahi Hum se pehle tu teri koi bhi pehchaan nahi

Mere aamaal bhale aur bure tu ne kiye Kaam-e-ziba jo hain tujko woh tu ne kiye Zakhm-e-maazi ke the dil mein jo hare tu ne kiye Dar-e-ehsaas mere khote khare tu ne kiye

Teri marzi mein jo aaye wohi to karta hai Phool se rang juda aur kabhi boo karta hai

Patte sahra pe agar eeriyan ragdi humne Pyaas, pyaason ki bujhai hai ussi zam-zam ne Baaliqeen-e-husn-e-amal dekh liya ‘aalam ne Laj-e-Adam ki bacha rakhi hai ek Adam ne

Tu agar chahta, Kausar bhi pila sakta tha Tashna lab ko lab-e-Kausar bhi bula sakta tha

Masjid-e-Aqsa par qabiz hain a’due Islam Jung hum karte hain to karta hai humko nakaam Ya’ni maqsad hai tera, hum rahein ho ke badnaam Ab nahi chalta kahin naara-e-takbeer se kaam

Ye bata kab teri rehmat bhala saath aaegi Masjid-e-Aqsa Palestine ke haath aaegi

Ye sadaqat hai tere naam pe iman rakha Taaq dil pe tere ikhlaas ka Qur’an rakha Tujhko mamduh kaha, dil ko sana khwaan rakha Bazm-e-‘ismat mein tera zikr charaghaan rakha

Is mushqat ke owaz tu ne mujhe khwaar kiya Ye khata mujh se hui, maine tujhe pyaar kiya

Jurm kya hai mera, mahshar jo bapa hona hai Itna maloom hai bande ko saza hona hai Tujh se samjhauta bhi kiya, tujh se juda hona hai Tu khafa ho ja, agar tujhe khafa hona hai

Jin o insaan mile dozakh mein jalane ke liye Baqi har shai hai kya jannat mein sajane ke liye


Return to: Main Index | Go to: Jawab-e-Shikwa